Friday 27 October 2023

Teachers - Gurudev Sri Sri Ravi Shankar

ur teachers are asset to the organisation and org is the asset to the world. Amp during navratri karna chahiye. Here the master himself is hosting the puja for us to experience. Read all his tweets daily In 2026, we will celebrate 45th year. And 70 years of Gurudev's physical presence. Announce a course today itself. Take as many as possible. Or join seva projects. Gurudev Upgrade karo Wcf dekho aur dikhao. Duniya me vahan kabhi aise program nai hua. Bach gaye sahi samay pe khatam hua. 1 hafte baad duniya me bawaal mach gaya. Vahan ka report hai, dc me homicide hota tha, apne program ke 1 hafte pehle baad me aur iss din koi homicide nai hua. Police ko ashcharya ho gaya. Humara jo nasha hai vo bottle se nai hota. Jo ek baar pi leta hai usko utarta hi nai. Jitna antarmukhi hote ho utna achha hai. Yehi safalta ka kaaran hai humare. Buddhi ka 2 kaam - vimash ye sahi hai ya galat, sab sochna ye sab Prakash - anubhuti, vartaman me rehna, ab. Na kuch past na kuch future ab. Yehi sadhna hai. Baar naar dekho. Course me bol toh dete ho mujhe pata hai tumhare jeevan me utra nahi hai. Aur gehrai me isme jaate jao. Ye sab maya hai puri duniya. Ye sab kuchh bhi nai hai. Ye yaad karate jao khud ko. Tab prakash ki anubhuti hoti hai. Main parmatma hun. Ish hun. Agle saal main aur geherai ka gyaan leke aaunga. Ye kaise vaise sab chhod do, jo hai so hai. Dimag ulat gaya palat gaya, dard anubhav karna padta hai karo. Intezaar karna padta hai karo. Pratidin prarthana karo buddhi theek rahe mera. Apne buddhi se dukhi hote hain. Dusre kisi se nai. Ya toh adiyal hain maante nai apni galti. Ya gaddhe bharne me lage rehte ho. Gaddhon ko dekhte rahoge toh gaddhe me jaoge. Upar dekhna padega toh upar uthoge. Kitne bhi kamiyan hain, chhodh use. Bharne me mat lago. Inn dono me beech me chalne ka rasta banaya hai uspe chalo. Svabhaav milansaar hona chahiye. Akele me bhi bechain nai hona chahiye. Teacher akele me bechain ho ya bheed me bhi bechain ho toh teacher nai nalayak ho. Santon me bhi 2 tarah ke Mere photo ko puja karo and arre mereko photo nai karna etc paduka ko puja karo. Ye dono atmagyaan nai hai. Shareer ko apna maan hi liya na dono cases me. Dono agyaani hai. Gyaani tathast rehte hain. Sab kuchh ek hi hai bana sirf shakti se. Prakash ka koi roop nai hota. Ye 3 cheezein hain Adi daivik - sukshma jagat Adi bhautik - bhautik tareeke se jo karte hain Adhyatmik. Jagah jagah teerth yarta, din bhar puja paath ki zarurat nahi. Usme me bhi mat faso. Bramha satya jagat mithya.

No comments:

Post a Comment